Almost 5 months since I posted here. So without any preaching adding whatever I’ve written in last few months. Interestingly year has changed in between, So time flew again. Reading these amateur lines gives me a flashback of my state of mind affected by many things, Including Weather, Politics, My own Mood, etc etc. Infact I could have called this post as “Diwali se Holi tak ka safar”
Haardik Shubkaamnayein, Dil se nikli duaayein..
Gale lagkar duur hoti kadwahatein, Chalo is baar Diwali fir se Diwali ki tarah manaayein..!!
– Gaurav (2/11/2013)
Ishq ek bandgi,
Isme kaisi sharmindgi..
Uski Khushi,
Tumhaari Zindagi..!!
– Gaurav (17/11/2013)
Ishq mein ijaazat ?
Ye takalluf bhi kamaal hai.!!
– Gaurav (22/11/2013)
Har baat ka kuch na kuch hai, sabab zaroor..
Ankahe lafz kahein mukammal guftagu se,
Huzoor Itna bhi na kijiye, khud par guroor..
Hum se hi hai roshan, aapka wazood..!!
– Gaurav (22/11/2013)
Kai shaksiyatein insaan ki..
Ek apno ke liye,
Ek gairon ke liye,
Ek doston ke liye,
Ek dushmano ke liye..
Aur Ek khud ke liye..
Gar sabke liye ek sa ho jaaye, to fir insaan, khudaa na ho jaaye..!!
– Gaurav (22/11/2013)
Nahin maaloom kya sahi, galat kya hai..
Jo dil ko achaa laga, humne aksar wahi kiya hai..!!
– Gaurav (1/12/12013)
Bade hokar duniyadaari..
Cheen leti hai masoomiyat hamaari..
Baat itni si, gar maano to..
Bachpane mein hi hai samajhdaari..!!
– Gaurav (7/12/2013)
Siyaasi galiyaaro mein ajab sargoshi,
Har koi apne daav chalaaye..
Neend se bojhil aam insaan,
kahin fir se na so jaaye..!!
– Gaurav (18/12/2013)
Muskurane ka salika kabhi aaya nahin humko..
Buzurgo ki maante hain.. wo kehte hain..
Jeete raho, Khush Raho.!! : )
– Gaurav (22/12/2013)
Ye baat is kadar bigdi nahin hoti..
Gar dono taraf, main-main nahin hoti.. !!
– Gaurav (23/12/2013)
Ab tak kahin gum sa tha..
Jaate jaate aa hi gaya, December..!!
– Gaurav (23/12/2103)
Likhne ka mizaaj lekin, bayaan karna na aaya..
Chehre padhne ki naadani karke, har baar khud ko samjhaaya..
Ek saal jaane ko hai, Ek saal hai jo abhi nahi aaya..
Kyun sochein, kya khoya humne.. Aur kya hai paaya..!!
-Gaurav (28/12/2013)
Khud ka likha samajhna hai mushkil..
Uske likhe pe duniya chale..!!
– Gaurav (12/1/2014)
Chalo ab maangne ki aadat ko riha karte hain..
Khud ba khud jo mile, uska maza kuch aur hai..!! : )
– Gaurav (1/2/2014)
Jo apne dil pe naaz rakha karte hain..
Wahi sabke dilon pe raaj kiya karte hain..
Dil ko kambakht o’ kamina kehne wale..
Yunhi waqt barbaad kiya karte hain..!!
– Gaurav (9/2/2014)
Jo apne dil pe naaz karte hain..
Wo sabke dilon pe raaz karte hai..!!
– Gaurav (9/2/2014)
Likhne ka tha jo waada khud se..
Kaayam ab bhi hai magar,
raftaar mein kuch kami si hai..
Kho jaane ki aadat purani,
zindagi hai.. hota hai,
yun hona bhi laazmi hai..!!
– Gaurav (21/2/2014)
Maana haqeeqat se joojhne ka naam hai zindagi..
Par hai baat khwaabo ki, kuch aur hi..
Humne to ab tak nahin dekha.. ki khwabo ne..
kabhi di ho kisi ko na-ummeedi ya maayusi..!!
– Gaurav (13/3/2014)
Ab jab sukoon sa ho chala,
Dil phir junoon ki talaash mein hai..
Hai Parinda, kab hai thehra,
Phir udne ki firaaq mein hai..
Paani ki si hai iski bhi shaksiyat,
Lehron sa behna iske mizaaj mein hai..
Kuch der jo thama to isne jaana ke,
Sukoon ka basar hota aksar, Junoon ke libaas mein hai..!! : )
– Gaurav (17/3/2014)
Karwat badlne se kab neend aai hai..
Badal sake to jeene ka salika badal..
Neend apne saath chain-o-sukoon bhi laayegi..!!
– Gaurav (17/3/2014)
Feedbacks – Reader’s POV