Ibteda laazmi hai..!! : )

Ibteda.. Aagaaz.. Some strong words.. meaning simple hai.. you got to start somewhere to finish where you want to . As always wrote random stuff, during past few months, different moods,  different weathers.. At one point of time was unable to write, and I knew something isn’t right (isme bhi rhyme, unintentional : D )

wrote this few mins ago..

Ittefaaqan ho jaati hai kai baatein maana..
Par ittefaaq ke liye bhi, Ibteda laazmi hai..!!

हिम्मत नहीं, ज़ुर्रत ही सही..
शोहरत नहीं, गैरत ही सही..
तकल्लुफ नहीं, बेबाकी ही सही..
दिलरुबा नहीं, शायरी ही सही..
सूरत नहीं, सीरत ही सही..
रब नहीं, मूरत ही सही..
दोस्त नहीं, अजनबी ही सही..
आसमान नहीं, ज़मीं ही सही..
होश नहीं, मदहोशी ही सही..
गुफ्तगू नहीं, ख़ामोशी ही सही..
दिल की बात चेहरे पे रखना,
माना है आदत बुरी..लेकिन,
दिखावे से भली, ये आदत बुरी ही सही..!!
– (23/3/2014)

Na ho khud pe kabhi guroor..
Rahein zindagi ke junoon se bharpoor..
Ek aur dua hai tujhse, Aye Rab..
Jab tak jiyein, Rahe Jeene ka suroor..!!
– (3/4/2014)

Mein wo waade kabhi karta hi nahin..
Jinhe poora na kar sakun..
Khud se to kar bhi lun..
Jo mere apne hain..
unse ye khata kaise karun..!!
– (5/5/2014)

Kuch na haasil hoga,
auron ki nigaahon mein khud ko talaash karke..
Zindagi hogi haseen,
jis pal dekhoge apni shaksiyat,
khud ki nazaron se nigaah bhar ke..!!
– (9/5/2014)

Wo pardes jaakar bhi desi rahe..
Hum desh ko pardes banane mein lage..
Sach hai, Jo paa jaayein uski koi kadr nahi..
Jo bhram hai, uske peeche sab deewane firey..!!
– (10/5/2014)

Kaayam hai khubsoorati duniya mein aaj bhi..
Ke, Is daur mein bhi khyaalon ko shabdon mein piroya jaata hai..!!
– (18/5/2014)

Na jaane kya soch liye phirtey hain..
Aasaan baaton ko Mushkil kiya karte hain..
Bahut hain jinko roti bhi nahi naseeb yahan..
Aur Phir wo, jo khane ke swaad se pareshaan raha karte hain..!!
-(18/5/2014)

Hum aadatan ruk ruk ke chalte hain..
Jahaan dhun-e-raftaar mein gum hua jaata hai..
Wo manzil paakar kar pareshaan dikhte hain..
Koi raah-e-safar ka lutf liye jaata hai..!!
– (21/5/2014)

Latest Oxymoron: Kind Manager !!
(30/5/2014)

कल शाम कुछ गजब हुआ..
तेज़ हवाओं ने सबको झकझोरा..
हाहाकार कुछ यूँ हुआ..
भूल स्मार्ट-फ़ोन, टेलीविज़न,
ऐ-सी और शॉपिंग माल्स की दुनिया..
खुले आसमानो की तरफ सबने रुख मोड़ा..
प्रकृति की एक छोटी सी करवट का..
कुछ ऐसा सबब हुआ..
इस झूठी बनावटी दुनिया के ग़ुलामो को..
हवा और पानी की असली कीमत का एहसास हुआ..
अचानक शोर मचा , बिजली आई..
और हमारा सपना टूटा..
अरे वाह ! पंखा घूमा, फ़ोन चला ..
जो होना है हो प्रकृति का..
हमें अपने आराम से मतलब..
हमें इसकी परवाह क्या..
सपनो और हकीकत की रस्साकशी में..
जो हुआ.. सच मानो,, अजब हुआ..!! : )
– (1/6/2014)

Humour is perhaps the only tumour, which everyone should have. And, How I wish it grew at a spectacular pace until we lose our senses..!!
– (2/6/2014)

Sayaane keh gaye..
Gar shiddat se khoje..
Toh sab kuch paaye..
Shiddat se saans lete hain..
Shayad jeena aa jaaye.!!
– (9/6/2014)

Masroof kaun nahi duniya mein..
Karam bas itna bhar karna..
Jab bhi karo sajda uska..
Dua mein humein bhi yaad rakhna..!!
– (30/6/2014)

Dil aur nazar ka na bharosa..
Kab Kis pe aa jaayein..
Palkein nazar ko sambhaal bhi le gar..
Dil ko kaun samjhaye?
Ye apni manmaani chalaaye..!!
– (9/7/2014)

Bukhaar hai.. bas bukhaar..
kasam se ishq se iska koi lena dena nahin !!
– (11/7/2014)

न जाने क्या हुआ है..
पर ये तय हैi..
कुछ हिल सा गया है..
यूँ तो कई दफा..
हमने खुद को समझाया है..
इस दफा मगर..
नासमझ हो जाने का इरादा किया है..
देखेंगे हम क्या होता है..
होने का क्या है.. वो तो होता रहा है..!!
– (22/7/2014)

So it’s that time of year when we see tricolor all around, in office cubicals, on vehicles, even on our clothes/attire. For a change can’t we wear it in our hearts. Not for a day or two but forever. Just a thought, Don’t think too much, even this crossed my mind, Since it’s that time of year..!! : )
– (14/8/2014)

इत्तेफ़ाकन हो जाती है कई बातें माना..
पर इत्तेफ़ाक़ के लिए भी, इब्तेदा लाज़मी है..!!
-(18/8/2014)

Share
Scroll Up